Sunday, October 31, 2021

meri masroofiyat. my own poetry

Wrote this shayri 10 years ago on 29-Aug-2011. When I got new job and she was complaining about my busy schedule.

kal raat sote mein jab uski achanak call ayi,
mei neend se utha aur becheni se hello kaha,
kuchh dino ki rafaqt se woh naraaz thi,
meree nayi nokri ki masroofiyat se woh bezaar thi,
mujhse kehne lagi !! 
dekho ye masroofiyat ke bahane kisi aur se karo,
ye sms per pyar ab kisi aur se jatao,
mujhe ab tumhen chhorna hoga,
tumse taaluq ab torna hoga,
boht waqt bitaya humne ikhathy,
ab door reh ker baqi waqt bitana hoga,
tumhn chhorna meri ab majboori hy,
aur uss majboori ko mujhe nibhana hoga,
meine kaha jana dekho rishta toro mat,
mujhe beech raah mein PLEASE yun choro mat,
tum kaho to mei wesa ho jaun,
apna sara waqt tumhre saath bitaun,
usne kaha dekho ab koi raasta nahi,
tumhra ab mujhse koi vaasta nahi,
mujhe ghusa aya aur bezari se kaha,
tumhn mere jesa ab milega kahan,
tum khush ho to dukh mujhe bhi nahi,
tum masroof ho to faraghat mujhe bhi nahi,
jese tumhre dost boht sare hain,
mujhe bhi chahne wale boht sare hain,
chalo ye taluq torr dete hain,
khud ko apne haal pe chhor dete hain,
ye keh ker meine call dissconnect kerdi,
phir har raat mere kamre mein siskiyan goonjti rahi...

No comments:

Post a Comment