Sunday, April 26, 2015

Shara-e-Fesal ...... My Own

mujhe akser woh kehti thi, 
jaana bike chalana choro, 
kitni khaternak sawari hy, 
aur chalate bhi taiz ho tum, 
Karachi k halaat toh dekho, 
aur shara e fesal per rush dekho, 
sab kitni teiz gariyan chalate hain, 
kisi ka khayal nahi kerte,  
ooper se ye May ki garam hawaen, 
december mein kese kanpte ho !!
janu bike chalana choro, 
bike chalana choro, 
ab toh tumhare berozgari k din gaye, 
ek serkari college mein lecturer  bane ho, 
ye bike ab tum pe suite nahi kerti, 
tum ab ek car le lo, 
dekho na hifazat hogi, 
yaar tum bike chalana choro, 
ek din aakhir soch liya, 
bike chalana chor raha hun, 
ab mei car le raha hun, 
ab mei office car pe jaunga, 
May aur December ki shidat se bachunga, 
gari ki jo thaan li meine,
ussi shaam uski call aayi,
pehle toh roti rahi, 
phir saskyun mein batlane lagi, 
nomy meri shadi fix hogai, 
agle hafte shadi hy, 
jitne khowab sohane dekhe, 
jitne wade kasmen khayin, 
jitni mannaten maani thi, 
aaj woh sab maaf kerdo, 
meri naakam muhabbat ko baksh do, 
aaj se taluq khatam hamara, 
aaj se qissa khatam hamara, 
meri nishaniyan jala dena, 
yaadon ko mita dena, 
aur mujhe tum maaf kerna,
mujhe akser woh kehti thi, 
jaana bike chalana choro !!