Saturday, October 2, 2021

Dedicating to my beloved brother Imran Mustafa Mahar

Safar to meiney kiya thaa

Warna saz-o-samaan us ke the.

Mei to bass razdaar thaa uskaa

Warna to sare raaz us ke the.

Wo dariya mein piyaasa baytha tha,

Jab ke samandar tamaam us ke the.

Who dhoop main bytha hai Chao'n dene ko

Jab ke darakth sare sayaadaar us ke the.

Aur yun to bazaahir logon main Risq meine baanta tha

Lakin dar parda sare haath us ke the.

Aur Meine jab kamaal bulaandi par jake soncha 

Yeh to sare kamaal us ke the..

No comments:

Post a Comment