Friday, May 20, 2011

AGLE KHAMBE TAK KA SAFAR

yaad hai,
tum aur mein
pahadi wale shaher ki
lambi,ghumavdaar,
sadak par
bina kuchh bole
hath me hath dale.
bematlab,beparwah
meelon chala karte the
khambo ko gina karte the
aur me jab
chalte chalte
thak jata tha
tum kehti thi
bas
us agle khambe
tak aur !

aaj
me akela hi
us sadak par nikal aaya huun
khambe mujhe ajeeb
nigaah se
dekh rahe hain
mujh se tumhara pata
poochh rahe hain
mein thak ke choor choor ho gaya hoon
lekin wapas nahi lautna hai
himaat karke
agle khambe tak pahuchna hai
sochta huun
tumhein tez chalne ki aadat thi
shayad
agle khambe tak pahuch kar
tum mera
INTEZAAR kar rahi ho

No comments:

Post a Comment