Tuesday, October 25, 2011

Yeh Pichlay Ishiqe Ki Batein Hen

Yeh Pichlay Ishiqe Ki Batein Hen..!

Yeh Pichlay Ishiqe Ki Batein Hen
Jab Ankh Main Khuwab Damakte Thai
Jab Dil Main Dagh Camakte Thai

Jab Palkein Shehr K Raston Men
Askhoon Ka Noor Luta'ti Thi
Jab Sans Ujlay Cheroon Ki
Taan Maan Main Phool Sajati Thi
Jab Chand Ki Rim'Jhim Kirnoon Say
Sochoon Main Bhanwar Par Jate Thai

Jab Ak Talatum Rehtaa Tha
Apne Bai'Anth Khayaloon Main

Har Ahed Nibhane Ki Kasmen
Khaat Khoon Say Likhne Ki Rasmay
Jab Aam Thi Hum Dil Waloon Men
Ab Apne Phe'kay Hontoon Par
Kuch Jalte Bhujte Lafzoon K
Yaa'Qout Pegalte Rehtay Hain

Ab Apni Ghum'Som Ankhoon Main
Kuch Dhool Hai Bekhri Yadoon Ki
Kuch Gard'Alooda Say Mosam Han

Ab DHoop Ugalti Sochoon Main
Kuch Pai'man Jalte Rehte Hain

Ab Apne Weeran Angaan Main
Jitne Shub'hoo Ki Candi Hai
Jitni Shamoon Ka Soo'na Hai
Us Ko Khak'sstar Hoo'na Hai

Ab yeh Batein Rehnay Di'jeeye
Jis Umr Main Kissay Bante Thai
Us Umr Ka Ghaam Seh'nay Di'jeeye

Ab Apni Ujri Ankhon Men
Jitne Roshan See Raten Hen
Us Umr Ki Sab Sugha'ten Hen

Jis Umr K Khuwab Khayl Hoye
Wo Pechli Umr Thi Beet Gaye
Wo Umr Beeta'yee Saal Hoyee

Ab Apni Ded K Rastay Men
Kuch Rang Hai Guzray Lamhoo Ka
Kuch Askhoon Ki Baraten Hen
Kuch Bhulay Basray Cheray Hen
Kuch Yadoon Ki Barsaten Hain

Yeh Pichlay Ishiqe Ki Batein Hain .....!!!

Wednesday, June 29, 2011

Muhabbat aur Siyasat

Chalo tum theek kehtay ho

Muhabbat aur siyasat main

sabhi atwaar jayiz hain

chalo hum maan letay hain

mager ye jung kesi hy

tumhi meray muqabil ho

chalo hum jeet ki khawahish

tumhi py waar detay hain

dhanak k pull py chal k hum

gagan k paar jatay hain

Chalo hum haar jatay hain ..... !!!!

Tuesday, May 31, 2011

Barhawan Khilari (12th Player)

Barhwan khilari bhi
Kiya ajab khilari hai
Khel hota rehta hai
Shor machta rehta hai
Daad parti rehti hai
Aur woh alag sab se
Intezar karta hai
Aik aisi sa'at ka
Aik aise lamhey ka
Jis main saniha ho jaye

Phir woh khelne nikle
Taaliyon ke jhurmat main
Aik jumla-e-khush kun
Aik naara-e-tehseen
Us ke naam ho jaye

Sab khilariyon ke saath
Woh bhi moutabar ho jaye

Tum bhi Iftikhar..

Barhwain khilari ho
Intezar kartey ho
Aik aisy lamhey ka
Aik aisi saa'at ka
Jis main hadisa ho ajye
Jis main saniha ho jaye

Friday, May 20, 2011

AGLE KHAMBE TAK KA SAFAR

yaad hai,
tum aur mein
pahadi wale shaher ki
lambi,ghumavdaar,
sadak par
bina kuchh bole
hath me hath dale.
bematlab,beparwah
meelon chala karte the
khambo ko gina karte the
aur me jab
chalte chalte
thak jata tha
tum kehti thi
bas
us agle khambe
tak aur !

aaj
me akela hi
us sadak par nikal aaya huun
khambe mujhe ajeeb
nigaah se
dekh rahe hain
mujh se tumhara pata
poochh rahe hain
mein thak ke choor choor ho gaya hoon
lekin wapas nahi lautna hai
himaat karke
agle khambe tak pahuchna hai
sochta huun
tumhein tez chalne ki aadat thi
shayad
agle khambe tak pahuch kar
tum mera
INTEZAAR kar rahi ho

Monday, May 9, 2011

Tum Be Had Shor Machati Ho

Woh Aksar Mujh Se Kehta Tha
"Tum Be Had Shor Machati Ho"

Phir men us se kehti thi,
Jb pyar se mujhe bulao ge,
Tb dorr k men to aaongi,
"Tb payal meri chanke gi",
Payal ka shor to hoga hi

Jb meri qalaai pakro ge,
To choori meri khanke gi,
"Choori ka shor to hoga hi"

"Jb bindya meri chamke gi,
Aankhon me tumhari damke gi,
Tb jazbe shor mchain ge,
"jazbon ka shor to hoga hi"

"Mere jhumke se jab khelo ge,
Wo gaal ko mere choome ga,
Be chain se tum ho jao ge,
Ik lehar uthe gi seene mein,
"Is lehar ka shor to hoga hi"

"Meri zulfon ko suljhate hue,
Mere gajre ko bikhrao ge,
Tb sansein tumhari mehkein gi,
"Saanson ka shor to hoga hi"

"Jb pas mere tm ao ge,
Ik barq si tann me dorre gi,
Mann behka sa hojae ga,
Hr dharkan shor machae gi,

"Dharkan ka shor to hoga hi"..!

"Wo Aksr Mujh Se Kehta Tha
Tum Be Hadd Shor Machati Ho"

Thursday, April 21, 2011

Zara thehro

Zara thehro

chalay jana

mujah kuch tum se kehna hy

zayada waqt nahi lun ga

zara si baat karni hy

na dukh apnay sunanay hain

na koi faryad karni hy

na ye maloom karna hy

k ab halaat kesay hain

tmharay humsafar thay jo

tmharay sath kesay hain

na ye maloom karna hy

teray din raat kesay hain

mujah bas itna kehna hy

mujah tum yaad aatay ho

bohat hi yaad aatay ho ......!!!!!!

Wednesday, April 20, 2011

Yeh zindagi bari ajeeb si

Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi gulzar si kabhi bezar si

Kabhi khushi hamaray sath sath
Kabhi gammon ki barsat si

Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi tofanon main bhi hain rastay

Kabhi manzilon ka pata nahi
Kabhi do kadam pay zindagi

Kabhi saddeuon tak intizar si
Yeh zindagi bari ajeeb si

Kabhi her pal emtihan hai
Kabhi bin mangay enam hai

Kabhi kuch nahi
Kabhi sab kuch si

Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi gulzar si kabhi bezar si

Tuesday, April 19, 2011

Mei Akser Uss Se Kehta Tha Apni Car Badlo

Main Aksar Us Say Kehta Tha
Janna!!Apni Ghaari(CAR) Badloo
Tum Par Yea Chooti Charade Bilkull Sute Nahi Karti
Daikhoo Is K Wheel
Daikhoo Yea DashBoardKitna Halka Kitna Sasta Hai
___Wasay Tum Sach Pochoo To
___Yea Jo Tumhari Ungli Main Daimand Hai
___Yea Bhi Is Say Mengha Hoga
___Is Main To Asee 2 Ghariyan(Cars)Asakhti Hain

___Main US Say Aksar Yea Kehta Tha......!!

Yaar Tum Apni CAR Badloo...!!


Jarey(SARDIYAAN) Anay Wali Hain
Is K To Hetar Bhi Kaam Nahi Karta
Yea A|C Bhi Theek Nahi Hai,

Kahi Tum Ko Loo Na Lag Jayee
Or
Yea Daikhoo,
Itni Achi Composition Or Yea Boseeda Sound System,
Meri Akaal Say Bahar Hai......!

Main Public Transport Par Ata Jata Hon
Bachpan Say Is K Adhi Hon
Lakin Tum Yea Kaisay?Kiyun Kar?Itni Chooti Ghaari(CAR) Tauba,
Mari Akaal Say Bahar Hai......!

Main Us Say Aksar Ya Kehta Tha
Yaar Tum Apni Ghaari(CAR) Badloo...!!

Ak Din Wo Zech hO Kar Boli
""Janay Kya Hai Kuch Arsay Say
Jab Say Tum Jiwaan Main Ayee Hoo
Chooti Ghaari, Chooti Ceezain
2 Kamrey K Chootey Ghar Or Choota Aagan
Chooti Mooti Hasti Duniya, Chooti Galiyan
Chooti Basti,
Nan'nay Mun'nay Mehkay Khuwab,
Or Chooti Chooti Khushyaan,
Mujh Achi Lagti Hain,
Janay Kya Hai Lakin Yea Sab Chooti Chooti Khuwash Ban Kar
Mujh Main Raqs Karti Hain"""


Main Nadan Tha Ya Samjh Betha K Wo Mere saath Gurbat Main,
Asani Say Reh Lay Ge,
Phir,
Collage Ke 2 Saal Yoon Guzray Jaisay 2 Sansein Guzar Jati Hain
2 Saloon Main Musaam Badlay Fashion Badlay

Sochoon Main Ayee Tabdile
US Ki Nan'ni Sochoon Ne Bhi Karwat Badle
Ek Din Us Ne Apne Ghar Ki Sari Chooti Ceezain
Apne Mali k Choote Bachay Ko Day De
Chooti Galiyan,Choote Agan,Chooti Basti
Yea Sab To Us Ko Wasy Bhi Ak Ghar main Mil Sakhta Tha

Or Us Ne Chooti Ghari Badle

Tarq Keya Wo Sare Dost
Sab Ristey aur Sab Sathi
Jo Jo Chootey Chootey Thay

or Shayad Main Un Sab May Sab Say Choota Tha

Main Us Aksar Kehata Tha K
Apni Ghaari Badloo....!!

!!!Wasi Shah!!!

Monday, April 18, 2011

Mere Dil Par Tera Saya

Is liya Koi Zada Dair Rukta Nahi Yahan,

Laug Kehtay Hain Mere Dil Par Tera Saya Hai.....!!

Friday, April 15, 2011

Watan

shaheedon k mazaaron per lagenge har baras melay,

watan pe mitnay walon ka baqi nishaan hoga.

Thursday, April 14, 2011

Usne mere seene per sar rakh ker poocha

Usne mere seene per sar rakh ker poocha

Jana'n! Apne jeevan ka woh lamha to batlao mujh ko

Jis ke badle mil sakte hain subhi sitaare

Daryaon ke saare moti

Sawan ki pehli baarish ke saare qatre

Ujle chaand ki saari kirne'n

Dharti ke seene se lipte sabhi khazane

Saare mousam sabhi duayen

Phoolon ki rangeen qabayen

Patti patti perne wali bheeni shabnam

Ism-e-aazam

Usne mere seene per sar rakh ker poocha

Jana'n! Apne jeevan ka woh lamha to batlao mujh ko

Jis ke badle sub kuch apna, sub kcuh, sub kuch

Apna sub kuch de sakte ho

Maine uska maatha chooma aur bola jab

Pehli baar mere seene per tumne apna sar rakha tha

Tuesday, April 12, 2011

usay kehna!

usay kehna!

k

sharyanun ka

jis tarha jisim main jaal hot hai

muhabbat is tarah say jism-o-jan main phail jati hai

tum is ko khoj sktay ho

na,

is ko noch sktay ho

usay kehna !!!

ye zid achhi nahin hoti

baghawat tark ker dalo

muhabbat lainay aa jai

to us k sath chal diana....

Monday, April 11, 2011

TUM SY BICHAR KR KYA HUN MAIN ???

TUM SY BICHAR KR KYA HUN MAIN ???

IK UDHOORI NAZM KA MISRA !!!

YA KOI BEEMAR PARINDA !!

COPY MAIN IK ZINDA TITLI !!

YA IK MURDA PEELA PATTA !!!!

AANKH HUN KOI KHWAB ZDA SI !!

YA AANKHON MAIN TOOTA SAPNA !

PALKON KI DEEEWAR PEECHY,

PAGAL QAIDI,, YA IK AANSUUU ....

DHOOP MAIN LIPTA LAMBA SEHRA,,,

TOOOTI HOI CHOORI KA TUKRA....

YA KOI BHOOOLA BISRA WADA !!!

TUM HI BTAO

TUM SAY BICHAR KR KYA HUN MAIN ????

IK PURAANI QABAR KA KATBA !!!

YA KOI MATROOOK DUA ....!!!!!

Wednesday, April 6, 2011

Teri Aur Meri Majboori -- A Birthday Gift

Today is someone's special Birthday, whom I spent a great time 

May Allah bring healthy life and success will kiss its steps at every moment and ways of Life.

Ameen.

I am dedicating this post to Special Person:



Maine aaj tumhare mere,

rishtey ki ik qabar bana ker,

saray mausam,
 
saari khushyaan,
 
saath guzaarey waqt ke moti,
 
meri hansi,or teri baatein,
 
chotey chotey khwab suhaanay,
 
yaadon ke guldaan mai rakhay,
 
teri wafa ke saaray khazaanay,
 
sookhi hui kuch murda pattyaan,
 
tootey hue pemaan wo saarey,
 
hijer ki raakh mai attay hue khatt,
 
ashk mai doobey aakhri kalmay,

apni ann mitt chahat saari,

mujh mai basi wo yaad tumhaari,

maazi ,haal or mustaqbil bhi,
 
hasrat ka ik qufl laga ker,
 
yaas ki qabar mai gaarr diya hay,
 
uss per ik takhti bhi lagi hai,
 
saada sa unwaan likha hay

Teri Aur Meri Majboori

Tuesday, April 5, 2011

Tum ny than hi li hy

Tum ny than hi li hy
Hamary dil sy niklo gy
Tou itna jaan lo piyaray
Samundar samnay ho ga
agr sahil sy niklo gy !
Sitary , Jin Ki annkhoon ny hamain ik sath daikha tha,
Gawahi deny aain gy !

Purany kagizoon ki balkuni sy
buhat sy lafaz jhankain gy
Tumhy wapis bulaain gy !

Kai waday, Fasadi qarz-khawahoon ki trha rasty mein rokain gy
Tumhain daman sy pakrain gy
Tumhri jaan khain gy !

Chupaa kr kis trha chehra
Bhari mahfil sy nikloo gy
zara phir soch lo jana !!
Nikal tou jao gy shaid
Magr Mushkil sy nikloo gy .. !!!!

Monday, April 4, 2011

Tumhain jana zaroori hay ....

Tumhain jana zaroori hay ....
Chalo phir is tarhan ker lo,
tum apnay rastay ho lo,
naae manzil koi dhondoo,
naae dunya basaao tum,
mujhay kuch dair rukna hay,
yahan kuch kam kerne hain,
yahan yadain hain kuch meri,
wo kuch beetay hue lamhe,
wo anchal se giray thay ju bikher ker door tuk,
mujhko pareshaan ker rahay hain jo,
unhain yakjaa kerna hay,
kahien par dafan kerna hay,
mohabbat ke qabar per ik naya qatbaa lagana hay,
phir is kai bad mujhko laut jana hay,
ab itnay kam hain jana,tumhain jaldi hay tum jao,
mujhay kuch waqt lagna hay
,ye mah-o-saal houn shayad,
ya shayad hon kaee sadyian,
tu phir kub tuk yahan baithee raho gi,
tumhain ju jana hay tu phir is main morravat ki zaroorat kya,
mohabbat ab nahi tumko,
tou phir takkaluf ki zaroorat kya,
naya sathi ju dhondha hay,
tu phir mairee zaroorat kya...!!

Saturday, April 2, 2011

Tum mujh ko guria kehte ho

Tum mujh ko guria kehte ho
Theek hi kehte ho…!
Khailne waale sub haathon ko main guria hi lagti hoon
Jo pehna do, mujh pe saje ga
Mera koi rang nahin
Jis bache ke haath thama do
Meri kisi se jung nahin
Sochti jaagti aankhen meri
Jab chaahe beenai lelo
Kook bharo aur baaten sun lo
Ya meri goyaai le lo
Maang bharo, sindoor lagaao
Pyaar karo, aankhon main basaao
Aur phir jab dil bhar jaaye to
Dil se utha ke taaq pe rakh do
Tum mujh ko guria kehte ho
Theek hi kehte ho!

Friday, April 1, 2011

Kuch to Mausam hi Garaan tha Chiraghon pe Kal Shab

Kuch to Mausam hi Garaan tha Chiraghon pe Kal Shab
Aur Kuch Wafd Hawaaon K Lagataar Aaye
Ab k Kuch Aisi Bichaaye Thi Bisaat_e_Gham_e_Ishq
Woh Jo Dil Haar K aatay Thay Jaan Haar Aaye

Wednesday, March 30, 2011

Teri hijraton ka malaal tha magar abb nahi'n
Mujhay sirf tera khayaal tha magar abb nahi'n

Teri bay'misaal muhabbato'n k nisaar mai'n
Tu zamaanay bhar main misaal tha magar abb nahi'n

Jissay tunay dard ataa kiya wohi aadmi
Teri qurbaton main nihaal tha magar abb nahin

MaiN teri talaash main reza reza bikhar gaya
Wo junoon-e-shauq-e-wisaal tha magar abb nahin

Teray dar pay aakhri baar aa k palat gaya
Meri zindagi ka sawaal tha magar abb nahi'n

Nazaah

Abb nazaah ka aalam hay mujh par tum apni mohabat wapas lo,

Jabb kashti doobnay lagti hay to bojh utaara kertay hain

Tuesday, March 29, 2011

suno aye chand si ladki

suno aye chand si ladki
tum kahan se aayi ho?
tum kahan rehti ho?
tumne kahan ghar basaya hay?
tumne kahan apni yaaden banayi hain?

suno aye chand si ladki
tum bohat bholi bhali dikhti ho
tumse ek pyara sa rashta banane ka dil chahta hay
tumhen apna banane ka dil chahta hay
tum se dosti kerne ka dil chahta hay
tumse har waqt baaten kerne ka dil chahta hay

suno aye chand si ladki
tum hamesha yaad rakhna
khud ko hamesha sambhale rakhna
ye dil ye yaaden bohat naazuk hoti hain
inehn hamesha apne haath mein rakhna
kisi se kabhy pyar mat kerna

suno aye chand si lardki
meri ye khowahish hay tum hamesha muskurati raho
hamesha gungunati raho
khushi se har waqt khilkhilaty raho

suno aye chand si ladki
tumhen apna banane ka dil chahta hay
tumse dosti kerne ka dil chahta hay

Nafrat

Itne Nafrat Na Ker Mujhse K Wajah E Mohabbat ban Jaye

Habbs Barh Jaye Tow Akser Barsat Hojaya Kertii Hai!

Friday, March 25, 2011

Mei Akser Uss Se Kehta Tha -- Wasi Shah

Main Aksar Us Say Kehta Tha



Janna!!Apni Ghaari(CAR) Badloo


Tum Par Yea Chooti Charade Bilkull Sute Nahi Karti


Daikhoo Is K Wheel


Daikhoo Yea DashBoard


___Kitna Halka Kitna Sasta Hai


___Wasay Tum Sach Pochoo To


___Yea Jo Tumhari Ungli Main Daimand Hai


___Yea Bhi Is Say Mengha Hoga


___Is Main To Asee 2 Ghariyan(Cars)Asakhti Hain






___Main US Say Aksar Yea Kehta Tha......!!






Yaar Tum Apni CAR Badloo...!!



Jarey(SARDIYAAN) Anay Wali Hain


Is K To Hetar Bhi Kaam Nahi Karta


Yea A. C Bhi Theek Nahi Hai,Kahi Tum Ko Loo Na Lag Jayee

Aur


Yea Daikhoo


Itni Achi Composition Or Yea Boseeda Sound System


Meri Akaal Say Bahar Hai......!


Main Public Transport Par Ata Jata Hon


Bachpan Say Is K Adhi Hon


Lakin Tum Yea Kaisay?Kiyun Kar?Itni Chooti Ghaari(CAR) Tuba


Mari Akaal Say Bahar Hai......!

Main Us Say Aksar Ya Kehta Tha


Yaar Tum Apni Ghaari(CAR) Badloo...!!






Ak Din Wo Zech hO Kar Boli


""Janay Kya Hai Kuch Arsay Say


Jab Say Tum Jiwaan Main Ayee Hoo


Chooti Ghaari,Chooti Ceezain


2 Kamrey K Chootey Ghar Or Choota Aagan


Chooti Mooti Hasti Duniya,

Chooti Galiyan, Chooti Basti,


Nan'nay Mun'nay Mehkay Khuwab


Or Chooti Chooti Khushyaan


Mujh Achi Lagti Hain


Janay Kya Hai Lakin Yea Sab Chooti Chooti Khuwash Ban Kar


Mujh Main Raqs Karti Hain"""


Main Nadan Tha Ya Samjh Betha K Wo Mere Saath Ghurbat Main


Asani Say Reh Lay Ge


Phir


Collage K 2 Saal Yoon Guzray Jaisay 2 Sansein Guzar Jati Hain


2 Saloon Main Musaam Badlay Feshion Badlay


Sochoon Main Ayee Tabdile


US Ki Nan'ni Sochoon Ne Bhi Karwat Badle


Ek Din Us Ne Apne Ghar Ki Sari Chooti Ceezain


Apne Mali k Choote Bachay Ko Day De


Chooti Galiyan,Choote Agan,Chooti Basti


Yea Sab To Us Ko Wasy Bhi Ak Ghar main Mil Sakhta Tha



Or Us Ne Chooti Ghari Badle


Tarq Keya Wo Sare Dost


Sab Ristey Or Sab Sathi


Jo Jo Chootey Chootey Thay


or Shayad Main Un Sab May Sab Say Choota Tha


Main Us Aksar Kehata Tha K


Apni Ghaari Badloo....!!



!!!Wasi Shah!!!

Sunday, February 13, 2011

Naaa Janney Kyun Meri Aankho'n Main Aaa Gayye Aansu,

Sikha Rha Tha Main Bacche Ko Jo Lafz MOHABBAT Likhna...!!!
Aag Se Seekh Liya Hai Ye Qareena Hum Ne.. 

Bujh Bhi Jana To Badi Deir tak Sulagtey Rehna!
Aik sarsari nazar woh mujhe pe bhi daal de, 
A rab-e-zuljalal,Usay itna khiyal de,
Itna arooj usay kyu dia k mujhe mil na sakay, 
Woh ho sakay mera ussay itna zawal de.
dard ki dil pe hukoomat thi, kahan tha us waqat
jab mujay teri zaroorat thi, kahan tha us waqat

moat ke sukh mien chala aya tu mujay daikhnay ko
zinda rehnay ki museebat thi, kahan tha us waqat 

Baray logoon se milne mein hamesha faasla rakhna

Baray loogon sy milnay main hamesha fasla rakhna
Jahan darya samander main mila, darya nahi rehta 

Humne aise ujaar di jese

ham ne aisey ujaar di jaisey.......
zindgi , baap ki kama'ei ho.... 

Iss muhabbat ne

iss mohabbat ne na jaane kitne safeene dubo diye
dekhenge kisi roz ye samander khangaal ke....

na jaane kya likha hai muqaddaer mein khuda ne
hum roz dekhte hain ik sikka uchhaal ke....... 

Faqeerana Tabiyat

ALLAH ne bakhshi hai faqeerana tabiyat......
aur ye hunar mein tumko sikha bhi nai sktaa.........

ek soch hai ki mein tmko khone nai dungaa.........
ek baat hai ki mein tmko paa bhi nai sktaa.......... 

Ahbaab

Khud ba khud choor gaye hain to chalo thek hua
itnay ahbaab kahan hum se sambalay jatay

Hum bi Ghalib ki tarha kocha-e-jaana se Faheem
Na nikaltay to kisi rooz nikalay jatay. 

Mujhe ab darr nahi lagta

Mujhe ab dar nahi lagta
kisi k door jane se
Ta'luq Toot jane se

kisi k maan jane se
kisi k roth jane se
Mujhe ab dar nahi lagta

Kisi ko azmane se
kisi k azmane se
kisi ko yad rakhne se

kisi ko bhol jane se
Mujhe ab dar nahi lagta
Kisi ko chor dene se

kisi k chor jane se
Na shama ko jalane se
Na shama ko bujhane se

Mujhe ab dar nahi lagta
Akele muskrane se

Ayeena !!

Aayena dekh kar khayal aaya,
Tum mujeh be-misaal kehtay thay.

chalo ab faisla karlo

chalo ab faisla karlo
ke apni jo muhabbat thi
nasha tha woh jawani ka
khumar utra to jana
muhabbat yoon nahi hoti
jo main ne khawab daikhe the
ub un ki kirchiyaan hain
aur zakhmi paoon hain maire
tumhara humqadam rehna
mujhe mumkin nahi lagta
tumhare aur maire darmiaan
dewar hai shayad
jo hurgiz gir nahi sakti
tumhain woh loog pyare hain
jo mujh ko zehar lagte hain
mujhe tum ab bhi pyare ho
magar ab morr aisa hai
jahan itnay mukhalif hain
tumhain yeh to pata hoga
mukhalif simt chalnay se
kabhi manzil nahi milti
to phir kion waqt khote ho
chalo ub faisla karlo. 

"Tum Be Had Shor Machati Ho"

Woh Aksar Mujh Se Kehta Tha
"Tum Be Had Shor Machati Ho"

Phir men us se kehti thi,
Jb pyar se mujhe bulao ge,
Tb dorr k men to aaongi,
"Tb payal meri chanke gi",
Payal ka shor to hoga hi

Jb meri qalaai pakro ge,
To choori meri khanke gi,
"Choori ka shor to hoga hi"

"Jb bindya meri chamke gi,
Aankhon me tumhari damke gi,
Tb jazbe shor mchain ge,
"jazbon ka shor to hoga hi"

"Mere jhumke se jb khelo ge,
Wo gaal ko mere choome ga,
Be chain se tum ho jao ge,
Ik lehar uthe gi seene mein,
"Is lehar ka shor to hoga hi"

"Meri zulfon ko suljhate hue,
Mere gajre ko bikhrao ge,
Tb sansein tumhari mehkein gi,
"Saanson ka shor to hoga hi"

"Jb pas mere tm ao ge,
Ik barq si tann me dorre gi,
Mann behka sa hojae ga,
Hr dharkan shor machae gi,

"Dharkan ka shor to hoga hi"..!

"Wo Aksr Mujh Se Kehta Tha
Tum Be Hadd Shor Machati Ho"
Tum Ne Dekha Hai Mujhe
Tum Ne Murjhaaye Hue Phool Kabhi Dekhe Hain?

Dil Ki Qabron Pe Pare......

Hijr Ki Laash Ki Aankhon Pe Dhare

Tum Ne Uktaaye Hue Khuwab Kabhi Dekhe Hain?

Dard Ki Palkon Se Lipte Hue

Ghabraaye Hue

Tum Ne Be-Chain Duaaen Kabhi Dekhi Hain?

Mohabbat Ke Kinaaron Pe Bhatakti Phirti

Tum Ne Dekha Hai Mujhe?

Kiya Kabhi Dekha Hai Mujhe?
Diya Jalana….!

Mai janta hun ke ab chaton par

Diye jalane ki rasam baqi nahi rahi hai

Magar tumhe meri yaad aye

To yaad rakho….!

Tum apni aankhon se

Aansuoon ke chamakte moti na girne dena

Bas itna karna

Ke apni chat par

Meri mohabbat ki nazm gaa kar

Meri rafaqat ko yaad kar ke

Diya jalana

Tum apni chat par kisi bhi kone mai beth kar

Ik diya jalana…….!

(Wasi Shah)
Last Call

Kal hamesha ki tarah us ne kaha yeh phone par

Mai bohot masroof hun, mujh ko bohot se kaam hain

Is liye tum aao milne, mai to aa sakti nahi

Har riwayat torr kar is baar mai ne keh diya

Tum jo ho masroof to mai bhi bohot masroof hun

Tum jo ho mashoor to mai bhi bohot maroof hun

Tum agar ghamgeen ho, mai bhi bohot ranjoor hun

Tum thakan se choor to mai bhi thakan se choor hun

Jaan-e-man hai waqt mera bhi bohot hi qeemti

Kuch puraane doston ne milne aana hai abhi

Mai bhi ab farigh nahi, mujh ko bhi laakhon kaam hain

Warna kehne ko to sab lamhe tumhare naam hain

Meri ankhen bhi bohot bojhal hain, sona hai mujhe

Ratjagon ke baa dab nendon mai khona hai mujhe