Usne mere seene per sar rakh ker poocha
Jana'n! Apne jeevan ka woh lamha to batlao mujh ko
Jis ke badle mil sakte hain subhi sitaare
Daryaon ke saare moti
Sawan ki pehli baarish ke saare qatre
Ujle chaand ki saari kirne'n
Dharti ke seene se lipte sabhi khazane
Saare mousam sabhi duayen
Phoolon ki rangeen qabayen
Patti patti perne wali bheeni shabnam
Ism-e-aazam
Usne mere seene per sar rakh ker poocha
Jana'n! Apne jeevan ka woh lamha to batlao mujh ko
Jis ke badle sub kuch apna, sub kcuh, sub kuch
Apna sub kuch de sakte ho
Maine uska maatha chooma aur bola jab
Pehli baar mere seene per tumne apna sar rakha tha
No comments:
Post a Comment