Woh Aksar Mujh Se Kehta Tha
"Tum Be Had Shor Machati Ho"
Phir men us se kehti thi,
Jb pyar se mujhe bulao ge,
Tb dorr k men to aaongi,
"Tb payal meri chanke gi",
Payal ka shor to hoga hi
Jb meri qalaai pakro ge,
To choori meri khanke gi,
"Choori ka shor to hoga hi"
"Jb bindya meri chamke gi,
Aankhon me tumhari damke gi,
Tb jazbe shor mchain ge,
"jazbon ka shor to hoga hi"
"Mere jhumke se jb khelo ge,
Wo gaal ko mere choome ga,
Be chain se tum ho jao ge,
Ik lehar uthe gi seene mein,
"Is lehar ka shor to hoga hi"
"Meri zulfon ko suljhate hue,
Mere gajre ko bikhrao ge,
Tb sansein tumhari mehkein gi,
"Saanson ka shor to hoga hi"
"Jb pas mere tm ao ge,
Ik barq si tann me dorre gi,
Mann behka sa hojae ga,
Hr dharkan shor machae gi,
"Dharkan ka shor to hoga hi"..!
"Wo Aksr Mujh Se Kehta Tha
Tum Be Hadd Shor Machati Ho"
No comments:
Post a Comment