Thursday, April 21, 2011

Zara thehro

Zara thehro

chalay jana

mujah kuch tum se kehna hy

zayada waqt nahi lun ga

zara si baat karni hy

na dukh apnay sunanay hain

na koi faryad karni hy

na ye maloom karna hy

k ab halaat kesay hain

tmharay humsafar thay jo

tmharay sath kesay hain

na ye maloom karna hy

teray din raat kesay hain

mujah bas itna kehna hy

mujah tum yaad aatay ho

bohat hi yaad aatay ho ......!!!!!!

No comments:

Post a Comment