Wednesday, March 30, 2011

Teri hijraton ka malaal tha magar abb nahi'n
Mujhay sirf tera khayaal tha magar abb nahi'n

Teri bay'misaal muhabbato'n k nisaar mai'n
Tu zamaanay bhar main misaal tha magar abb nahi'n

Jissay tunay dard ataa kiya wohi aadmi
Teri qurbaton main nihaal tha magar abb nahin

MaiN teri talaash main reza reza bikhar gaya
Wo junoon-e-shauq-e-wisaal tha magar abb nahin

Teray dar pay aakhri baar aa k palat gaya
Meri zindagi ka sawaal tha magar abb nahi'n

No comments:

Post a Comment