Wednesday, December 16, 2009

Kuch duur hamaray saath chalo

Kuch duur hamaray saath chalo
Hum dil ki kahani kehdein ghay

Samjhay na tum jisay aankhon say
Woh baat zubaani kehdein ghay

Jo pyar karein ghay jaanein ghay
Har baat tumhari maanein ghay

Jo jaley na hon khudh ulfat mein
Woh aag ko paani kehdein ghay

Jab pyaas jawan ho jaaye ghi
Ehsaas ki manzil paaye ghi

Khamosh rahein ghay aur tumhein
Hum apni kahani kehdein ghay

Is dil mein zara tum baitho toh
Kuch haal hamara poocho toh

Hum sada dil hain “Tanha” magar
Har baat poorani kehdein ghay
Main ney us ki hath ki lakeeron per

Ik siyah til dekha

Or ussey bataya ,ye doulat ka til hai

Tumharey hathon may kitni doulat hai

Us ney apney dono hathon may

Mera chehra tham kar kaha

Haan....dekho mere hathon may

Kitni doulat hai ……!!!
mujay aksar wo kehti thi

k itni baar kehtay ho

"mujay tum say mohabbat hai "

k ab dil pay ye kehnay say

asar koe nahi hota

magar jab aaj danista

nahi bola usay mein nay

"mujay tum say mohabbat hai"

to us ki aankh bher aae...
Barson hoye us ne kha tha,
 

Na sawal karna, na jawab miley ga,
 

Mujhey bhool jana qarar miley ga,
 

Aaj hum us muqaam par hain,
 

Na sawal kiya, na jawab mila,
 

Na bhool sakey, na qarar mila..............
tum sab jo meri baat suno

ik kissa tumhein sunaata hoon

ye kissa nahi zamanay ka

ye kissa hai parwaanay ka

jo pal pal jeeta marta tha

jo pyar bohot hi karta tha

har baat usay maloom to thi

ek baat magar wo bhula betha

shamma ko haasil karnay mein

khud apna aap ganwa betha

youn ishq ki had se guzarnay mein

parwanay k jal marnay mein

ab jaagti hai na soti hai

shamma ab har pal roti hai!!!!!!!!!!!
jab woh mera naam

apne haathon ki lakeeron main

talash ker k thak gaya

tu dheere se sir jhukaya

aur muskara k kaha

"lakeerein jhoot bolti hain"!
Suna hay....

Suna hay laut'tay ho tum,

Mairi viraan nagri may,

Phir say ghar bananay ko,

Yeh ujra dil basanay ko,

Kisi guzray hoey kal ka,

koi wada nibhanay ko,

Mairay la-char zakhmo'n pay,

Koi marham laganay ko,

Sab hee khoi hoi khushiya'n,

Mujhay phir say lutanay ko,

Maira jeevan sajanay ko,

Mairay charo'n taraf her su,

Wafa k gul khilanay ko,

Suna hay laut'tay ho tum,

Mager theyhro,

Wahee'n thayhro,

Zra yeh to batao tum,

Achanak itnay barso'n may.

Tumhai'n yeh kyu'n guma'n aaya.?

Kyu'n kar is taraf aakhir,


Suna hay....

Tumhara bhi dayha'n aaya,

Achanak kya tumhai'n soojhi.?

Mairi dunya basanay ki,

Maira jeevan sajanay ki.?

Kya tum ko ab bhi lagta hay,

Tumhari aahatai'n phir,

Dharrkano'n ko jaan bakhshai'n gi,

Tumhari dastako'n pay kaan yeh,

Ab bhi dharay ho'n gay.?

Mairi aankhai'n,

Tumharay lautnay ki muntazir ho'n gi.?

Nahee'n aisa nahee'n,

Hargiz nahee'n,

Aisa nahee'n hay ab,

Ghalat tum jaan baithay ho,

Maira jeevan basanay ki,


Suna hay....

Anokhi thaan baithay ho,

Tumhari khush-gumani hay,

K ab bhi muntazir hoo'n mai'n,

Aur tumharay laut aanay per,

Nazar-andaz kar k mai'n,

Purani sari baato'n ko,

Wafa k deep rakh k mai'n,

Tumhari sari raho'n ko,

Phir say jagmag doo'n ga,

Kuchal kar raund kar,

Mai'n umr-bhar ki sari yado'n ko,

Tumhai'n dil may jaga doo'n gi,

Magar hergiz nahee'n aisa,

Bohot arsa hua,

Kuch is tarah say ho gaya jeevan,

Na kisi ki yaad ki dastak pay,

Yeh aankhai'n bhatakti hai'n,


Suna hay....

Na aahat dharrkano'n ko,

Ab mairi bay-chain karti hay,

Woh jitni shiddatai'n aur khuwahishai'n,

Dil may panapti thee'n,

Unhai'n aik aik kar k,

Dil say mai'n nay nauch dala hay,

Tamannaey'n jo palti thee'n,

Tumharay laut aanay ki,

Unhai'n usi jaga mai'n nay,

Wahee'n daboch dala hay,

Qabal is k,

Tumharay lautnay ka yeh irada,

Raeyga'n thahray,

Tumhari meherbani hay,

Na tum ab laut k aana..!
Suna hay....

Suna hay laut'tay ho tum,

Mairi viraan nagri may,

Phir say ghar bananay ko,

Yeh ujra dil basanay ko,

Kisi guzray hoey kal ka,

koi wada nibhanay ko,

Mairay la-char zakhmo'n pay,

Koi marham laganay ko,

Sab hee khoi hoi khushiya'n,

Mujhay phir say lutanay ko,

Maira jeevan sajanay ko,

Mairay charo'n taraf her su,

Wafa k gul khilanay ko,

Suna hay laut'tay ho tum,

Mager theyhro,

Wahee'n thayhro,

Zra yeh to batao tum,

Achanak itnay barso'n may.

Tumhai'n yeh kyu'n guma'n aaya.?

Kyu'n kar is taraf aakhir,


Suna hay....

Tumhara bhi dayha'n aaya,

Achanak kya tumhai'n soojhi.?

Mairi dunya basanay ki,

Maira jeevan sajanay ki.?

Kya tum ko ab bhi lagta hay,

Tumhari aahatai'n phir,

Dharrkano'n ko jaan bakhshai'n gi,

Tumhari dastako'n pay kaan yeh,

Ab bhi dharay ho'n gay.?

Mairi aankhai'n,

Tumharay lautnay ki muntazir ho'n gi.?

Nahee'n aisa nahee'n,

Hargiz nahee'n,

Aisa nahee'n hay ab,

Ghalat tum jaan baithay ho,

Maira jeevan basanay ki,


Suna hay....

Anokhi thaan baithay ho,

Tumhari khush-gumani hay,

K ab bhi muntazir hoo'n mai'n,

Aur tumharay laut aanay per,

Nazar-andaz kar k mai'n,

Purani sari baato'n ko,

Wafa k deep rakh k mai'n,

Tumhari sari raho'n ko,

Phir say jagmag doo'n ga,

Kuchal kar raund kar,

Mai'n umr-bhar ki sari yado'n ko,

Tumhai'n dil may jaga doo'n gi,

Magar hergiz nahee'n aisa,

Bohot arsa hua,

Kuch is tarah say ho gaya jeevan,

Na kisi ki yaad ki dastak pay,

Yeh aankhai'n bhatakti hai'n,


Suna hay....

Na aahat dharrkano'n ko,

Ab mairi bay-chain karti hay,

Woh jitni shiddatai'n aur khuwahishai'n,

Dil may panapti thee'n,

Unhai'n aik aik kar k,

Dil say mai'n nay nauch dala hay,

Tamannaey'n jo palti thee'n,

Tumharay laut aanay ki,

Unhai'n usi jaga mai'n nay,

Wahee'n daboch dala hay,

Qabal is k,

Tumharay lautnay ka yeh irada,

Raeyga'n thahray,

Tumhari meherbani hay,

Na tum ab laut k aana..!
suniye!!

apni khubsurat kalayi main

baray chao se

chorian gumatay hue us ne kaha
 

yeh chorian dekhiye

kaisi hain?

yeh aap ko pasand hain?

yeh aap ke naam ki hai

hum ne aap ki taraf se li hain

aap hamaray ho na?

ho na?.... aap hamaray


is se pehle ke wo

meri ankh main chamaktay aansoo dekhti

jaldi se main ne kaha
 

haan bohat khobsorat hain yeh chorian

tumhari kalayi main bohat saj rehi hain

mere naam ki daway dar

wo payari masoom larki

khushi se muskara di

aur bhool gayi

apnay sawal ka jawab

Sawali

Mujhey abh yaad aaata hey

merey halaat hein kyoun aisey

Bachpan k zamaney mein

Youni ik rooz

der pe aik swali ka

meine uska mzaak uraya thaa

khali haath loutaya thaa

wo jatey jatey sda dey gyaa

mujhey ishq ki wo dua dey gya

mein ney jbh apna ishq paya

wo mujhey yaaad ayaa

jissey khaali thaa loutaya

dua ki jisney mujhey mera yaar milaya

abh apney hallaat deikh kr

ehsaas yeh hova

tab uss swali ney

ishq ki jo di thi dua

wo drasal the bad'dua

mein aaj ik swaali ke he dua sey

usi ki tarah swali ban ker

kisi k der pe ssdaa dey raha houn

ban k aashiq

sawali ki dua sey

mein manngney ki szaa ley raha houn.........!!!!!!!!!

Pagli

Woh Aksar Apnay Kaam Main Magan...

Baithay Baithay Mujhay Sochnay Lagta Hai...

Woh Sari Baatain Yaad Aati Hain Us Ko...

Woh Subhain , Woh Shamain...

Wohi Zindagi Ki Musafatain...

Jinhain Gin Gin Kay Guzara Kartay Thay...

Phir Jab...

Haqeeqaton Main Wapis Lout-Ta Hai...

To Muskura Daita Hai...

Aur Sar Jhatak Kay Kehta Hai...

PaGLi!!!!!!!

Mohabbat meherbaa'n ho gi...!!!

Mairay jaanay pay aey jaana'n...

Paraishaa'n tum nahee'n hona...

Kabhi chhup ker nahee'n rona...

Judaaii zeher hoti hay...

Mujhay ma'loom hay laikin...

Firaaq-o-hijr ka mausam yaqeenan beet jaaey ga...

Yaqeenan wasl k lamhay...

Dobaara laut aaey'n gay...

Wohi shaamai'n, wohi raatai'n...

Wohi qissay, wohi baatai'n....

Wohi phir daastaa'n ho gi...

Mohabbat meherbaa'n ho gi...!!!

kiya talash kertay ho

hathon ki lakeeroon men
 

kiya talash kertay ho
 

in fazool baatoon men
 

kis liye ulajhtay hoo
 

jis ko milna hota hay
 

bin lakeer daikhay hi
 

zindgii ki rastay per
 

saath saath chalta hay
 

phir kahan bichrta hay
 

jo nhi mukadar men
 

kab humain wo milta hay
 

kab wo saath chalta hay
 

haath ki lakeroon men
 

kiya talash kertay ho...??

muhabbat chor di hum nay....!!

Abhi jo laut kar phir tum

hamaray dar pay ayay ho

yeh tum say keh dya kis nay

k tum bin reh nahi saktay

yeh dukh hum seh nahi saktay

kaha tum say yeh kis nay hai

k tum bin hum buhat royay hain

raaton ko na soyay hain

sunlo ghoar say janaa

agar beetay huway lamhon ko

tum nay wapis lana hai

hamari zindagi main phir

hamain wapis bulana hai

mujhay afsoos hai janaa

k tum mayoos lotoogi

agar tum jan'na chaho

kay aisa q kia hum nay

yeh dukh q seh lia hum nay

to sun lo ghor say janaa

puranay ehd-e-raftaa ki

riwayat torr di hum nay

muhabbat chor di hum nay....!!

ussay ek baar sunn lainaaa!!!!

Dhaikho aisa nahi kartay

Kabhi aisa nahi kehtay
 

usay bhi ho gee majboori
 

houngay koi masahil bhi
 

jo lamhay tum pay beetay hein
 

wo bhaari houn gaiy oss pay bhi
 

dhaikho aisa nahi kartay
 

wo jo dil mein bassay houn
 

un ko youn ruswa nahi kartay
 

Jo khud tootay houn unsay
 

buhat rootha nahi kartay
 

Muhaabt ka koi izhar
 

lab pay laiya nahi kartay
 

suno tum aisa kar laina
 

wo jab loat aaiey tu
 

ussay ek mouqa day daina..
 

jo uss kay dil pay beeti ho
 

ussay kuch dair sun laina..
 

ussay ek baar sunn lainaaa!!!!

MUHABBAT

Bohat See Bay-Sabab Baatain

Faqat TAMHEED Hoti Hain

Jo Aksar Tum Say Kehta Hoon

Sunaoo Or Kaisay Hoo

Sunoo Sardi Bohat Hai Na

Nahi Mosam To Acha Hai

Chaloo Acha Main Chalta Hoon

Dobara "PHONE" Ker Loon Ga...!!

Yah Saari Bay-Sabab Baatain

Faqat TAMHEED Hoti Hain

Or Is TAMHEED Main JAANAA!

Guzar Jatay Hain Sab Lamhay...

Guzar Jatay Hain Jab Lamhay

To Phir Main Sochta Hoon Keh!

Zara See Baat He To Hai

Tumhain Jaldi Say Keh Doon Ga

Mujhay TUM Say MUHBBAT Hai

Bohat Zaida MUHABBAT Hai...

Aitbaar

Mere Mizaaj ki awargi pay marti hai,

Main kia bataon wo kitni ajeeb larki hai,

Wo janti hai k, keh kar kabhi nahi aata,

Magar! wo phir bhi mera intizaar karti hai,

Wo janti hai k aksar main jhoot bolta hoon,

Magar! wo phir bhi mera aitbaar karti hai....!
Tum ne mujh se ye kaha tha na

Ke kuch bhi ho jaaye....

Magar tumhara saath nibhaaounga

Apna haath meri aankhoun per rakh kar kaha tha na

Dunya bhar se takra ke tumhara saath mein dounga

Na badlounga kabhi bhi....

Jesey ye mosam badaltey hain....

Badaltey mosamoun mein bhi tumhara saath dounga

Mosam badal gaye tou tum bhi badal gaye...

Ehd-e-wafa karke nahi lautey

Mosam tou laut aya hai

par Abhi tak tum nahi lautey...

Mat Chhoro

Sunoo!

Tum Azm waley ho

Bala ka zubt rukhte ho

Tumhen kuch bhi nahin ho ga

Mager deikho

Jisey tum chorey jatey ho

Usey to theek sey shayed

Bicharhna bhi nahin aata

Sunoo!

Tum Azm waley ho

Usey na chorh k jaao

PAGAL

uss ne ek baar mujhse poocha,
ke batao
mujhe kitna yaad kerte ho,
maine kaha!bohot zeyada
uss ne phir sawal kiya
ke phir bhi batao to akhir kitna
maine kaha bohot bohot zeyada
mera jawab sun kar
woh zara si muskurai
dhere se aur kaha
ab mujh se bhi to pocho
aur jab maine pocha
to uss ki muskurahat gehri hoti chali gai
aur halka sa gulabi rang uss ke chehre peh agaya aur guzar gaya
uss ne mujhe doobi hue nazro se dekha
aur pulke jhuka ke boli
PAGAL!

main jab uss se kehta hon

main jab uss se kehta hon

mjhe tm se muhabbat hai!!

naffi men sar hilati hai..

nigahon ko jhukati hai

hatheli samne rakh kr

kisi ka naam likhti hai

mutthi band kr lete hai

phir us ko choom lete hai..

ankhon se lagate hai

dobara choom lete hai..

achanak bol uth-te hai!

mjhe is se muhabbat hai.!

bas yehi mra sab kuch hai.!

yeh sb kuuch samne paa kr

main bara be zaar hota hon..

mjhe be zaar paate hai

khud bhi reh nahi paati..!

mutthi khol deti hai.

jo mutthi khol deti hai

to mera hi naam hota hai.....

Main Pehley Ke Jaisey

Daikho Tumharey Bin

Koi Gham Nahin Mujhey

Main Pehley Ke Jaisey
 

Hansta Muskurata Hoon
 

Lafzon Ko Ghazlon Mein Sajata Hoon
 

Magar Mujh Ko Parrhney Waaley
 

Mujh Say Yehi Kehtey Hain
 

Ke Mairey Lafzon Say Siskiyon Ki Aawaaz Aati Hai !!!

Kaash

Woh Jab Bhi Mujh Say Milti Thi
 

Har Baar
 

Ekk Masoomiyat Say
 

Poocha Karti Thi
 

Ke Tum Mairey Hi Ho Na?
 

Aur Main Har Baar
 

Uss Ke Chehrey Ko Choo Ke
 

Qasam Khaya Karta Tha
 

Par Kaash!!!
 

Mainey Aik Baar Hi Uss Say Poocha Hota
 

Ke
 

Tum Mairi Hi Ho Na?

Saturday, December 5, 2009

Buhat Aasan Hai Kehna

Buhat Aasan Hai Kehna,

Mohabbat Tumse Karta Hoon,

Magar Matlab Mohabbat Ka,

Samajh Lena Nahi Aasan,

Mohbat Pa ke Kho dena,

Mohabbat Kho ke Pa lena,

Ye Un logon Ke Qissay Hain,

Mohabbat K Jo Mujrim Hain,

Jo Mil jane Pe Hanste Hain,

Bichar Jane Pe Rote Hain,

Suno...!

Mohbat Karne Walay To,

Buhat Khamosh Hote Hain,

Jo Qurbat Mein Bhi Jeete Hain.......

Jo Furqat Mein Bhi Jeete Hain,

Na Wo Faryad Karte Hain.......

Na Wo Ashkon Ko Peete Hain.....