Friday, October 2, 2009

Tumhain jana zaroori hay ....

Tumhain jana zaroori hay


Chalo phir is tarhan ker lo,


tum apnay rastay ho lo,


nayi manzil koi dhondoo,


nayi dunya basaao tum,


mujhay kuch dair rukna hay,


yahan kuch kaam kerne hain,


yahan yaadain hain kuch meri,


wo kuch beetay hue lamhe, 


wo anchal se giray thay jo bikher ker door tak,


mujhko pareshaan ker rahay hain jo,


unhain yakjaa kerna hay,


kahien par dafan kerna hay,


mohabbat ke qabar per ik naya qatbaa lagana hay,


phir is ke baad mujhko laut jana hay,


ab itnay kaam hain jana, tumhain jaldi hay tum jao,


mujhay kuch waqt lagna hay,


ye mah-o-saal houn shayad,


ya shayad hon kayi sadyian,


toh phir kab tak yahan baithee raho gi,


tumhain jo jana hay tu phir is main murrawat ki zaroorat kya,


mohabbat ab nahi tumko,


tou phir takkaluf ki zaroorat kya,


naya sathi jo dhoondha hay,


tu phir mairee zaroorat kya...!! 

No comments:

Post a Comment