Sunday, October 18, 2009

meri zindagi ka hasil

meri zindagi ka hasil

kaii waswasey, kaii rat jagey

kaii lughzishein, kaii khwahishein

meri zaat misle mazar hey

mujhey jeeney ki abb Du’aa na dou

Ager ho sakey tou Khuda sey tum

Meri maghfirat ki du’aa kero

Ye jo samney hey terey ro baroo

mera aks hey, meri rooh hey

aik naam hey koi benishaaan

faqat raakh ka koi dher hey

mujhey aag sey na darao tum

ager ho sakey tou, meri lou bano

mein tou bujha howa diya hoon abb

Mujhey aur tum hawa na dou

meri raah dekho na abb kabhi

meri chaah dil sey nikal dou

kub jana tha kissi morr perr

yuun zindagi rooth jaye gii

kub chaha tha meri aas ko

aisey nazar kisi kii lug jaye gii

mein tou khaak hoon kafe paa kii

apney daman sey abb mujhey jhaarr dou

No comments:

Post a Comment