ye daag daag ujaalaa, ye shab gaziidaa sahar
wo intazaar thaa jis kaa, ye wo sahar to nahi
ye wo sahar to nahi jis ki aarazu lekar
chale the yaar ki mil jaayegii kahi na kahi
falak ke dasht mein taron ki aakharii manzil
kahin to hogaa shabe sust mauj kaa saahil
kahin to jaa ke rukegaa safinaa-e gham-e-dil
jawaan lahuu kii pur asaraar shaaharaahon se
chale jo yaar to daaman pe kitane haath pare
dayaar-e-husn ki be-saber Khwaab-gaahon se
pukarati rahin baahen, badan bulaate rahe
bahut aziiz thi lekin rukh-e-sahar kii lagan
bahut qarin thaa hasinaa-e-nuur kaa daaman
subuk subuk thi tamannaa, dabi dabi thi thakan
sunaa hai ho bhi chukaa hai firaq-e-zulmat-e-nuur
sunaa hai ho bhii chukaa hai wisaal-e-manzil-o-gham
badal chukaa hai bahut ahl-e-dard ka dastuur
nishaat-e-wasl halaal-o-azaab-e-hijr-e-haraam
jigar ki aag, nazar ki umang, dil ki jalan
kisi pe chaaraa-e-hijraan kaa kuchh asar hi nahin
kahaan se aayi nigaar-e-sabaa, kidhar ko gayi
abhi chiraagh-e-sar-e-rah ko kuchh Khabar hi nahin
abhi garaani-e-shab mein kami nahin aayi
najaat-e-diida-o-dil ki ghadii nahin aayi
chale chalo ki wo manzil abhi nahin aayi