Thursday, August 23, 2012

Kyu Tu Achha Lagta Hy.

kion tu acha lagta hai, waqt mila to sochenge
tujh mei kia kia dekha hai waqt mila to sochenge

sara sheher shanasai ka, dawedar to hai lekin
kon hamara apna hai, waqt mila to sochenge

hum ne usko likha tha, kuch milne ki tadbeer karo
us ne likh ker bheja hai, waqt mila to sochenge

mosam khushbu baad-e-saba chand shafaq aur taron mei
kon tumhare jaisa hai ,waqt mila to sochenge

ya to apne dil ki mano, ya phir dunia walon ki
mashwara uska acha hai, waqt mila to sochenge

No comments:

Post a Comment