Main ney us ki hath ki lakeeron per
Ik siyah til dekha
Or ussey bataya ,ye doulat ka til hai
Tumharey hathon may kitni doulat hai
Us ney apney dono hathon may
Mera chehra tham kar kaha
Haan....dekho mere hathon may
Kitni doulat hai ……!!!
Saturday, September 22, 2012
chalo ab faisla karlo
chalo ab faisla karlo
ke apni jo muhabbat thi
nasha tha woh jawani ka
khumar utra to jana
muhabbat yoon nahi hoti
jo main ne khawab daikhe the
ub un ki kirchiyaan hain
aur zakhmi paoon hain maire
tumhara humqadam rehna
mujhe mumkin nahi lagta
tumhare aur maire darmiaan
dewar hai shayad
jo hurgiz gir nahi sakti
tumhain woh loog pyare hain
jo mujh ko zehar lagte hain
mujhe tum ab bhi pyare ho
magar ab morr aisa hai
jahan itnay mukhalif hain
tumhain yeh to pata hoga
mukhalif simt chalnay se
kabhi manzil nahi milti
to phir kion waqt khote ho
chalo ub faisla karlo.
ke apni jo muhabbat thi
nasha tha woh jawani ka
khumar utra to jana
muhabbat yoon nahi hoti
jo main ne khawab daikhe the
ub un ki kirchiyaan hain
aur zakhmi paoon hain maire
tumhara humqadam rehna
mujhe mumkin nahi lagta
tumhare aur maire darmiaan
dewar hai shayad
jo hurgiz gir nahi sakti
tumhain woh loog pyare hain
jo mujh ko zehar lagte hain
mujhe tum ab bhi pyare ho
magar ab morr aisa hai
jahan itnay mukhalif hain
tumhain yeh to pata hoga
mukhalif simt chalnay se
kabhi manzil nahi milti
to phir kion waqt khote ho
chalo ub faisla karlo.
Tum ne mujh se ye kaha tha na
Tum ne mujh se ye kaha tha na
Ke kuch bhi ho jaaye....
Magar tumhara saath nibhaaounga
Apna haath meri aankhoun per rakh kar kaha tha na
Dunya bhar se takra ke tumhara saath mein dounga
Na badlounga kabhi bhi....
Jesey ye mosam badaltey hain....
Badaltey mosamoun mein bhi tumhara saath dounga
Mosam badal gaye tou tum bhi badal gaye...
Ehd-e-wafa karke nahi lautey
Mosam tou laut aya hai
par Abhi tak tum nahi lautey...

Chalo hum haar jatay hain ..... !!!!
Chalo tum theek kehtay ho
Muhabbat aur siyasat main
sabhi atwaar jayiz hain
chalo hum maan letay hain
mager ye jang kesi hy
tumhi meray muqabil ho
chalo hum jeet ki khawahish
tumhi py waar detay hain
dhanak k pull py chal k hum
gagan k paar jatay hain
Chalo hum haar jatay hain ..... !!!!
Muhabbat aur siyasat main
sabhi atwaar jayiz hain
chalo hum maan letay hain
mager ye jang kesi hy
tumhi meray muqabil ho
chalo hum jeet ki khawahish
tumhi py waar detay hain
dhanak k pull py chal k hum
gagan k paar jatay hain
Chalo hum haar jatay hain ..... !!!!
Friday, September 21, 2012
Tuesday, September 18, 2012
jab se ye peghaam mila hai
Jab se yeh peghaam mila hai,
Jaana’n! tum aaney wali ho,
Mausam ne sarey ghar ki tarteeb badal kar rakh daali hai,
Chokhat per ik chaand bhi aa kar beth geya hai,
Keyi sitaare lounge mein kab se pare huye hain,
Kehte hain ke,
Is raste se tum guzro gi,
Nanhe mune gulabon ka kehna hai,
Jitne din tum pass raho ge,
Ghar ke har konay mein aakar woh mehkain ge,
Phoolon ne mil kar sab konay baant liye hain,
Jugnu kab se chat pe, ghar ke,
Har goshay mein chamak rahe hain,
Suraj aur barish bhi kal se saaye’baan per tikkay huye hain,
Dheemey dheemey chehek rahe hain,
Shaam to kab se kayi tarah ke mausam le ker,
Is kamrey mein ruki hui hai, Jis kamrey mein tum thehro ge,
Tum aao ge to yeh shaam hazaron mausam,
Sundar sundar sajji huyi ankhon ko de ker
Kho jayegi,
Phir na kabhi wapis aaye gi,
Is se pehle ke yeh shaam bhi,
Sarey mausam leker mujhko khaali karke kho jaye,
Tum aajao naa’n,
Aabhi jao….

Sunday, September 16, 2012
Yaad Hey Tum Ko
Yaad Hey Tum Ko ... !
Gher Key Pichley Laan Main Hum Tum
Shab Bher Batain Kertey They
Jhagra Hota To Hum Ler Ker
Chand Ko Munsif Ker Letey They
Chand Sada Ka Paaji Hey
Chahey Kuch Ho
Magar Hamesha
Aik Hi Baat Kiya Kerta Tha
Teri SIDE Liya Kerta Tha..........
(Wasi Shah)
Gher Key Pichley Laan Main Hum Tum
Shab Bher Batain Kertey They
Jhagra Hota To Hum Ler Ker
Chand Ko Munsif Ker Letey They
Chand Sada Ka Paaji Hey
Chahey Kuch Ho
Magar Hamesha
Aik Hi Baat Kiya Kerta Tha
Teri SIDE Liya Kerta Tha..........
(Wasi Shah)
Thursday, August 23, 2012
Hazrat Khowaja Moin Uddin Chishti (R.A)
Ganj Bakhsh Faiz-e-Aalam Mazhar-e-Noor-e-Khuda,
Naqisa Ra Peer-e-Kaamil Kaamila Ra Rehnuma.
Naqisa Ra Peer-e-Kaamil Kaamila Ra Rehnuma.
Kyu Tu Achha Lagta Hy.
kion tu acha lagta hai, waqt mila to sochenge
tujh mei kia kia dekha hai waqt mila to sochenge
sara sheher shanasai ka, dawedar to hai lekin
kon hamara apna hai, waqt mila to sochenge
hum ne usko likha tha, kuch milne ki tadbeer karo
us ne likh ker bheja hai, waqt mila to sochenge
mosam khushbu baad-e-saba chand shafaq aur taron mei
kon tumhare jaisa hai ,waqt mila to sochenge
ya to apne dil ki mano, ya phir dunia walon ki
mashwara uska acha hai, waqt mila to sochenge

Saturday, May 19, 2012
Libaas
Libas Tan Se Utaar Dena,
Kisi Ko Banhon Ke Haar Dena,
Phir Uske Jazbon Ko Maar Dena,
!! Ager Mohabat Yehi Hai Jana To Maaf Karna Mujhe Nehi Hai!!
Gunah Karne Ka Soch Lena,
Haseen Pariyan Daboch Lena,
Phir Uski Aankhein Hi Noch Lena,
!! Ager Mohabat Yehi hai Jana To Maaf Karna Mujhe Nehi Hai!!
Kisi Ko Lafzon Ke Jaal Dena,
Kisi Ko Jazbon Ki Dhaal Dena,
Phir Uski Izzat Uchaal Dena,
!! Ager Mohabat Yehi Hai Jana To Maaf Karna Mujhe Nehi Hai!!
Andhair Nagri Mein Chalty Jana,
Haseen Kaliyan Masalty Jana,
Aur Apni Fitrat Pe Muskurana,
Ager Mohabat Yehi Hai Jana To Maaf Karna Mujhe Nehi Hai

Meri majboori ko
Meri majboori ko
Meri bad-kismati na samajh
Kyon ki
Mai Aise raste pe chala hu
Jahan
Perchayi bhi sath chod deti hai..
Muraavatien hi sahi
Muraavatien hi sahi
Magar ik baat batao
Masroof ho…. ??
Ya
Bhoolna
Chah Rahe ho……. ?
Saturday, May 12, 2012
Mohbton mein shumaar kaisa
Mohbton mein shumaar kaisa
Yaqeen kaisa...
Gumaan kaisa....
Urooj kaisa .....
Zawaal kaisa....
Sawaal kaisa .....
Jawaab kaisa ....
Mohabten to mohabten hain
Mohabton mein hisaab kaisa
Saturday, April 14, 2012
Mujhe yaad hai...
Mujhe yaad hai...
Pichle saal inhi dinon main
Main ne tumhari yaadon ko apne ander
Saatween baar qatal ker k wahin kahin
Kisi weerane main dafan ker dia tha...
Aur tumhari yaadon ki qabar
Faramoshi k bhaari patharon se bhar di the...
Aur is se bhi pehle aik baar
Door-daraaz se aane waale
Kisi diyo-haikal parindon k paron se...
Aur is se bhi pehle aik baar
Bilkul inhi dinon
Main ne mukammal tour per jala ker
Yaadon ki raakh taiz behte howe dariya main baha di thi...
Lekin is saari jaan-kuni k ba-wajood
Aaj phir hemesha ki tarah
Meri aankhoon main aankhen daale
Mere dil ko apni mutthi main jakrre
Tumhari yaaden mere saamne kharri hain

Subscribe to:
Posts (Atom)