Sunday, February 13, 2011

Naaa Janney Kyun Meri Aankho'n Main Aaa Gayye Aansu,

Sikha Rha Tha Main Bacche Ko Jo Lafz MOHABBAT Likhna...!!!
Aag Se Seekh Liya Hai Ye Qareena Hum Ne.. 

Bujh Bhi Jana To Badi Deir tak Sulagtey Rehna!
Aik sarsari nazar woh mujhe pe bhi daal de, 
A rab-e-zuljalal,Usay itna khiyal de,
Itna arooj usay kyu dia k mujhe mil na sakay, 
Woh ho sakay mera ussay itna zawal de.
dard ki dil pe hukoomat thi, kahan tha us waqat
jab mujay teri zaroorat thi, kahan tha us waqat

moat ke sukh mien chala aya tu mujay daikhnay ko
zinda rehnay ki museebat thi, kahan tha us waqat 

Baray logoon se milne mein hamesha faasla rakhna

Baray loogon sy milnay main hamesha fasla rakhna
Jahan darya samander main mila, darya nahi rehta 

Humne aise ujaar di jese

ham ne aisey ujaar di jaisey.......
zindgi , baap ki kama'ei ho.... 

Iss muhabbat ne

iss mohabbat ne na jaane kitne safeene dubo diye
dekhenge kisi roz ye samander khangaal ke....

na jaane kya likha hai muqaddaer mein khuda ne
hum roz dekhte hain ik sikka uchhaal ke....... 

Faqeerana Tabiyat

ALLAH ne bakhshi hai faqeerana tabiyat......
aur ye hunar mein tumko sikha bhi nai sktaa.........

ek soch hai ki mein tmko khone nai dungaa.........
ek baat hai ki mein tmko paa bhi nai sktaa.......... 

Ahbaab

Khud ba khud choor gaye hain to chalo thek hua
itnay ahbaab kahan hum se sambalay jatay

Hum bi Ghalib ki tarha kocha-e-jaana se Faheem
Na nikaltay to kisi rooz nikalay jatay. 

Mujhe ab darr nahi lagta

Mujhe ab dar nahi lagta
kisi k door jane se
Ta'luq Toot jane se

kisi k maan jane se
kisi k roth jane se
Mujhe ab dar nahi lagta

Kisi ko azmane se
kisi k azmane se
kisi ko yad rakhne se

kisi ko bhol jane se
Mujhe ab dar nahi lagta
Kisi ko chor dene se

kisi k chor jane se
Na shama ko jalane se
Na shama ko bujhane se

Mujhe ab dar nahi lagta
Akele muskrane se

Ayeena !!

Aayena dekh kar khayal aaya,
Tum mujeh be-misaal kehtay thay.

chalo ab faisla karlo

chalo ab faisla karlo
ke apni jo muhabbat thi
nasha tha woh jawani ka
khumar utra to jana
muhabbat yoon nahi hoti
jo main ne khawab daikhe the
ub un ki kirchiyaan hain
aur zakhmi paoon hain maire
tumhara humqadam rehna
mujhe mumkin nahi lagta
tumhare aur maire darmiaan
dewar hai shayad
jo hurgiz gir nahi sakti
tumhain woh loog pyare hain
jo mujh ko zehar lagte hain
mujhe tum ab bhi pyare ho
magar ab morr aisa hai
jahan itnay mukhalif hain
tumhain yeh to pata hoga
mukhalif simt chalnay se
kabhi manzil nahi milti
to phir kion waqt khote ho
chalo ub faisla karlo. 

"Tum Be Had Shor Machati Ho"

Woh Aksar Mujh Se Kehta Tha
"Tum Be Had Shor Machati Ho"

Phir men us se kehti thi,
Jb pyar se mujhe bulao ge,
Tb dorr k men to aaongi,
"Tb payal meri chanke gi",
Payal ka shor to hoga hi

Jb meri qalaai pakro ge,
To choori meri khanke gi,
"Choori ka shor to hoga hi"

"Jb bindya meri chamke gi,
Aankhon me tumhari damke gi,
Tb jazbe shor mchain ge,
"jazbon ka shor to hoga hi"

"Mere jhumke se jb khelo ge,
Wo gaal ko mere choome ga,
Be chain se tum ho jao ge,
Ik lehar uthe gi seene mein,
"Is lehar ka shor to hoga hi"

"Meri zulfon ko suljhate hue,
Mere gajre ko bikhrao ge,
Tb sansein tumhari mehkein gi,
"Saanson ka shor to hoga hi"

"Jb pas mere tm ao ge,
Ik barq si tann me dorre gi,
Mann behka sa hojae ga,
Hr dharkan shor machae gi,

"Dharkan ka shor to hoga hi"..!

"Wo Aksr Mujh Se Kehta Tha
Tum Be Hadd Shor Machati Ho"
Tum Ne Dekha Hai Mujhe
Tum Ne Murjhaaye Hue Phool Kabhi Dekhe Hain?

Dil Ki Qabron Pe Pare......

Hijr Ki Laash Ki Aankhon Pe Dhare

Tum Ne Uktaaye Hue Khuwab Kabhi Dekhe Hain?

Dard Ki Palkon Se Lipte Hue

Ghabraaye Hue

Tum Ne Be-Chain Duaaen Kabhi Dekhi Hain?

Mohabbat Ke Kinaaron Pe Bhatakti Phirti

Tum Ne Dekha Hai Mujhe?

Kiya Kabhi Dekha Hai Mujhe?
Diya Jalana….!

Mai janta hun ke ab chaton par

Diye jalane ki rasam baqi nahi rahi hai

Magar tumhe meri yaad aye

To yaad rakho….!

Tum apni aankhon se

Aansuoon ke chamakte moti na girne dena

Bas itna karna

Ke apni chat par

Meri mohabbat ki nazm gaa kar

Meri rafaqat ko yaad kar ke

Diya jalana

Tum apni chat par kisi bhi kone mai beth kar

Ik diya jalana…….!

(Wasi Shah)
Last Call

Kal hamesha ki tarah us ne kaha yeh phone par

Mai bohot masroof hun, mujh ko bohot se kaam hain

Is liye tum aao milne, mai to aa sakti nahi

Har riwayat torr kar is baar mai ne keh diya

Tum jo ho masroof to mai bhi bohot masroof hun

Tum jo ho mashoor to mai bhi bohot maroof hun

Tum agar ghamgeen ho, mai bhi bohot ranjoor hun

Tum thakan se choor to mai bhi thakan se choor hun

Jaan-e-man hai waqt mera bhi bohot hi qeemti

Kuch puraane doston ne milne aana hai abhi

Mai bhi ab farigh nahi, mujh ko bhi laakhon kaam hain

Warna kehne ko to sab lamhe tumhare naam hain

Meri ankhen bhi bohot bojhal hain, sona hai mujhe

Ratjagon ke baa dab nendon mai khona hai mujhe