Wednesday, September 30, 2009

wo jazbon ki tijarat thi ye dil kuch aur samjha tha,

use hasnne ki adat thi ye dil kuch aur samjha tha,


mujh usne kaha aao nayi dunia basate hain,


use sujhi shararat thi ye dil kuch aur samjha tha,


hamesha uski ankho mien dhanak se rang hote thy,


ye uski aam halat thi ye dil kuch aur smjha tha,


wo mere paas betha dair tk ghazlen meri sunta,


use khud sey muhabat thi ye dil kuch aur smjha tha,


mere kandhe pe ser rakh ker kahin par kho gaya tha wo,


ye ek wkti enayat thi ye dil kuch aur samjha tha,


mujhe wo dekh ker aksr nigahen phr leta tha,


ye dr-prda hikarat thi ye dil kuch aur smjha tha....

No comments:

Post a Comment