Wednesday, September 30, 2009

wo jazbon ki tijarat thi ye dil kuch aur samjha tha,

use hasnne ki adat thi ye dil kuch aur samjha tha,


mujh usne kaha aao nayi dunia basate hain,


use sujhi shararat thi ye dil kuch aur samjha tha,


hamesha uski ankho mien dhanak se rang hote thy,


ye uski aam halat thi ye dil kuch aur smjha tha,


wo mere paas betha dair tk ghazlen meri sunta,


use khud sey muhabat thi ye dil kuch aur smjha tha,


mere kandhe pe ser rakh ker kahin par kho gaya tha wo,


ye ek wkti enayat thi ye dil kuch aur samjha tha,


mujhe wo dekh ker aksr nigahen phr leta tha,


ye dr-prda hikarat thi ye dil kuch aur smjha tha....

Tuesday, September 29, 2009

Sochta Hun Kay Ussey Neend Bhi Aati Hogi !!




Sochta hun kay Ussey Neend Bhi Aati Hogi
Ya Faqat Meri Tarah Ashq Bahati hogi,

Woh Meri Shakal Mera Naam Bhulane Wali
Apni Tasveer Se Kya Aankh Milati Hogi

Uney Silwa Bhi Liye Hongay Siyah Rang k Libas
Ab Moharam Ki Tarah Eid Manati Hogi

Hoti Hogi Mere Bosay Ki Talab Mei Pagal
Jab Bhi Zulfon Mein Koi Phool Sajati Hogi

Meree tareekh Zamano Se Nikalne Wali
Roshni Tujhko Meri Yaad Dilati Hogi

Dil Ki Masoom Ragen Khud He Sulagti Hongi
Junhi Tasveer Ka Kona Woh Jalati Hogi

Roop De Ker Mujhe Uss Mein Kisi Shehzade Ka
Apne Bachon Ko Kahani Woh Sunati Hogi