Tou kia tmhain
mein kabhi yaad hi nahi aya,
Kabhi yunhi kisi
makhsoos dhun ko suntay hoe,
Kabhi kabhi yunhi
koi kitab parhtay hoe,
Barastay abar mein
chhat par kabhi nahatay hoe,
Khud apny jism say
yunhi kabhi lajatay hoe,
Kisi saheli hai
hanstay samay lipattay hoe,
kisi khayal
mein bethay sy utha kr chaltay hoe,
Kisi bhi raat ko
uth kar yunhi tehaltay hoe,
Akeley door tak
kamoshi mein chaltay hoe,
Kha'lah mein zaat
ki bay aasrah bhataktay hoe,
Kisi pahar pey
tanha sambhal k chartay hoe,
Utartay chand ka
mojoon mein aaks partay hoe,
Kabhi libaas pay
khushbo koi lagatay hoe,
Khizaan mein
sookhtay pattön ka shor suntay hoe,
Mittay hoye sy
darakhtoon pay naam parhtay hoe,
Kisi bhi rooz
yunhi ghar k kaam kartay hoe,
Azaan hotay hi
aanchal sy sir ko dhaktay hoe,
Tou kia tumhein
mein kabhi yaad hi nahi aya,
Kisi gulaab ko
tehni say toor kar bhi nahi, , , ,
Tou kia tmhain
mein kabhi yaad hi nahi ayaa,
Kisi gulaab ko tehni
say toor kar bhi nahi,