Sunday, April 28, 2013

Zaat

is baar meri Jung khud apni Zaat se hai ;

is baar Haar jaane ka imkaan hai bahut ....

rait

jab kabhi toot kar bikhro to batana mujh ko,

me tumhen rait k zarron se bhi chun sakta hoon

Mere

Mere bass mein jo hota toh hata ker chaand sitaaro ko

Mei neelay aasmaan per tumharee aankhen saja deta !!

suno, (my own)

suno,
tumhen toh yaad hoga na,
jahan tumne mujhe chhora tha,
jahan kiye the raste alehda,
jahan waadon ki kirchiya ki thi,
jahan daaman churaya tha,
jahan de k wapsi ka dilasa,
jahan palat k ek baar bhi na dekha tha,
jahan kaha tha hum rahenge hamesha axche dost ban ker,
suno,
mei aaj phir wohin khara hun,
wohin ussi jagah per,
din ya shayad maah-o-saal ki rafaqat bita ker,
maazi ki khoobsurat yaaden samet ker,
office ki masroofiyat se thora araam paa ker,
tutions ki classes ko off ker k,
april k pehla hafta paa ker,
apni tarrace mein deewar se tek laga ker,
apni shayari ko tumse wabasta ker k,
saved messages mein tumhare poorane sms parh ker,
mei aaj phir wohin khara hun,
ek umeed le ker,
k shayad tum thora sa waqt nikaal ker,
laut aao,
aur
phir wapis chali jao !!!!!!!!!!


my own

Woh

Woh Bhi Din Thay K gumaa'n Hota Tha . . .

Tujh sy Bichroo'n ga To mar jaon ga . . .