Saturday, September 22, 2012

Main ney us ki hath ki lakeeron per

Main ney us ki hath ki lakeeron per

Ik siyah til dekha

Or ussey bataya ,ye doulat ka til hai

Tumharey hathon may kitni doulat hai

Us ney apney dono hathon may

Mera chehra tham kar kaha

Haan....dekho mere hathon may

Kitni doulat hai ……!!!

chalo ab faisla karlo

chalo ab faisla karlo
ke apni jo muhabbat thi
nasha tha woh jawani ka
khumar utra to jana
muhabbat yoon nahi hoti
jo main ne khawab daikhe the
ub un ki kirchiyaan hain
aur zakhmi paoon hain maire
tumhara humqadam rehna
mujhe mumkin nahi lagta
tumhare aur maire darmiaan
dewar hai shayad
jo hurgiz gir nahi sakti
tumhain woh loog pyare hain
jo mujh ko zehar lagte hain
mujhe tum ab bhi pyare ho
magar ab morr aisa hai
jahan itnay mukhalif hain
tumhain yeh to pata hoga
mukhalif simt chalnay se
kabhi manzil nahi milti
to phir kion waqt khote ho
chalo ub faisla karlo. 

Tum ne mujh se ye kaha tha na

Tum ne mujh se ye kaha tha na

Ke kuch bhi ho jaaye....

Magar tumhara saath nibhaaounga

Apna haath meri aankhoun per rakh kar kaha tha na

Dunya bhar se takra ke tumhara saath mein dounga

Na badlounga kabhi bhi....

Jesey ye mosam badaltey hain....

Badaltey mosamoun mein bhi tumhara saath dounga

Mosam badal gaye tou tum bhi badal gaye...

Ehd-e-wafa karke nahi lautey

Mosam tou laut aya hai

par Abhi tak tum nahi lautey...

Chalo hum haar jatay hain ..... !!!!

Chalo tum theek kehtay ho
Muhabbat aur siyasat main
sabhi atwaar jayiz hain

chalo hum maan letay hain
mager ye jang kesi hy
tumhi meray muqabil ho

chalo hum jeet ki khawahish
tumhi py waar detay hain
dhanak k pull py chal k hum
gagan k paar jatay hain
Chalo hum haar jatay hain ..... !!!!

Tuesday, September 18, 2012

jab se ye peghaam mila hai

Jab se yeh peghaam mila hai,
Jaana’n! tum aaney wali ho,
Mausam ne sarey ghar ki tarteeb badal kar rakh daali hai,
Chokhat per ik chaand bhi aa kar beth geya hai,
Keyi sitaare lounge mein kab se pare huye hain,
Kehte hain ke,
Is raste se tum guzro gi,
Nanhe mune gulabon ka kehna hai,
Jitne din tum pass raho ge,
Ghar ke har konay mein aakar woh mehkain ge,
Phoolon ne mil kar sab konay baant liye hain,
Jugnu kab se chat pe, ghar ke,
Har goshay mein chamak rahe hain,
Suraj aur barish bhi kal se saaye’baan per tikkay huye hain,
Dheemey dheemey chehek rahe hain,
Shaam to kab se kayi tarah ke mausam le ker,
Is kamrey mein ruki hui hai, Jis kamrey mein tum thehro ge,
Tum aao ge to yeh shaam hazaron mausam,
Sundar sundar sajji huyi ankhon ko de ker
Kho jayegi,
Phir na kabhi wapis aaye gi,
Is se pehle ke yeh shaam bhi,
Sarey mausam leker mujhko khaali karke kho jaye,
Tum aajao naa’n,
Aabhi jao….

Sunday, September 16, 2012

Yaad Hey Tum Ko

Yaad Hey Tum Ko ... !

Gher Key Pichley Laan Main Hum Tum


Shab Bher Batain Kertey They


Jhagra Hota To Hum Ler Ker


Chand Ko Munsif Ker Letey They


Chand Sada Ka Paaji Hey


Chahey Kuch Ho


Magar Hamesha


Aik Hi Baat Kiya Kerta Tha


Teri SIDE Liya Kerta Tha..........

(Wasi Shah)