Barhwan khilari bhi
Kiya ajab khilari hai
Khel hota rehta hai
Shor machta rehta hai
Daad parti rehti hai
Aur woh alag sab se
Intezar karta hai
Aik aisi sa'at ka
Aik aise lamhey ka
Jis main saniha ho jaye
Phir woh khelne nikle
Taaliyon ke jhurmat main
Aik jumla-e-khush kun
Aik naara-e-tehseen
Us ke naam ho jaye
Sab khilariyon ke saath
Woh bhi moutabar ho jaye
Tum bhi Iftikhar..
Barhwain khilari ho
Intezar kartey ho
Aik aisy lamhey ka
Aik aisi saa'at ka
Jis main hadisa ho ajye
Jis main saniha ho jaye
Kiya ajab khilari hai
Khel hota rehta hai
Shor machta rehta hai
Daad parti rehti hai
Aur woh alag sab se
Intezar karta hai
Aik aisi sa'at ka
Aik aise lamhey ka
Jis main saniha ho jaye
Phir woh khelne nikle
Taaliyon ke jhurmat main
Aik jumla-e-khush kun
Aik naara-e-tehseen
Us ke naam ho jaye
Sab khilariyon ke saath
Woh bhi moutabar ho jaye
Tum bhi Iftikhar..
Barhwain khilari ho
Intezar kartey ho
Aik aisy lamhey ka
Aik aisi saa'at ka
Jis main hadisa ho ajye
Jis main saniha ho jaye